01 02 03 Darker Side Of White...: Neelgagan ka Parinda 04 05 15 16 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 31 32 33

Neelgagan ka Parinda

34
Subah ki pehli kirno ke saath athi toh woh,
Zor zor se pukar thi toh woh, na jane kisse dhund rahi thi woh,
Na jane kis des se ayi thi woh, kaun si zaban main bolti thi woh,

Subah ki roshni main woh neelgagan ka ek tara lagti thi woh,
Teekhe the uske nain, teekhi thi uski boli,
lekin subah ke us sotey jagtey samay main, ek shaant antral thi woh,

Na jane kaha gayi woh, ab na subah ati thi woh roz,
na jagati thi woh muje aur na hi suraj ki roshni main ab baat thi woh,
Kaha hai meri roshni ki leher ab? Kis des ki thi na malum muje, ab kaha dhundo ussey?
Dimaag kehta hai usne chod diya tera dar, par dil kehta hai woh yahi hai, dikhegi tuje woh kissi roz,
Man darpan hai to dil ayena, joh dekhoge wohi dikhega aur jo hai wohi samjehga,


35 36 37 38