Kabhi tere se baat karne ke liye seher tak rukta tha main,
ab toh teri parchaiyo ko chune se darta hu main,
teri yaadon main roz kahin kho jata hu, us din ko yaad karke gumsum sa mayus hokar khush ho jata hu,
hur roz sochta hu ki kuch alag kaha hota yah alag sa kuch sama hota, toh aaj tum bhi mere paas hote,
ab toh bus ek chere ki parchai hai, jin ankhon main guma tha main uske agey kale badal ki chadar bich gayi hai,
dur lagta hai us parchai ko dekh kar, yaad hi hai teri, yaad karne ki koshish bhi karta hu par na tu dikhti hai, na tu sunti hai, aur nah hi ab dil main woh tez dhadkan hoti hai, ab toh bus us kali chadar ko uthane ki koshish hoti...
Roz niklta hu, sabse milta hu, sab kuch karta hu, par darta hu ki kahin kissi roz hum mill na jae,
Dil kehta hai tu mod pe hi khadi hai, ussi kesari boj ke saath, intezar main meri, main ata toh hu roz,
par sirf ek parchai hi milti hai, rukta hu toh bebasi milti hi, chalta hu toh baichaini.
Kya ek jhoot ki saza maut se bhi battar hoti hai, dozzak main bhi jagah na mille, samundar main pani na mille, dhoop main bhi sardi lage, kya yeh kam nahi!
Neend toh ab ati nahi, ankh band kaise karu jab tumhari yaad jati hi nahi, chal pada hu kissi nai manzil par,
par tumhari galli dil se nikalti nahi, woh bhi maaf kar deta, par tu nahi,
Woh bacha toh mar gaya hai, par yeh abhi bhi zinda hai, char saal se zinda hai, par mara hua hai.