01 02 03 Darker Side Of White...: Sooraj ki chandni 04 05 15 16 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 31 32 33

Sooraj ki chandni

34
Ab nahi dikhte tare raat main, na dikhti hai chandni,
bus leheron ke saath behta ja ra ha hu, samundar main gota marne ki saza pa raha hu,
doobne ka man hai par dooba nahi jata, mann toh hai bohot par ab dooba nahi jata.

Ab nahi dikhta hai ugta hua sooraj, na milti hi subah subah ki thandi hava,
ab toh soobah hoti hai dupher main, raat hoti hai seher main,
angrezo ki hukumat ab doobta nahi hai humara suraj, sirf lagta hai ki hum doob rahe hai,
naukri ke naam pe saza bhog rahe hai, pischar banke dharti pe rom rahe hai.

Cigarette ke dhooe ko chewing gum ke mint se chupa rahe hai,
sharam nahi hai phoonkne main, par garv bhi nahi hai
Coffee aur chai se apni insani dhaanche ko chalne ki koshish kar rahe hai,
palake jhapakne ke ehsas hota hai toh Red Bull bhi peene pe majbur hote hai.

Na dikhti hai ab ghas pe jami oas ki chadar, ab toh neend se jung main hi fasa rehta hu,
Khwabo ko sajne ke liye nahi karte hai yeh hum, sirf ghar chalne ke liye hai majbur hum,
Agar khel-kud lete toh aaj ban jate nawab, pad likh liya hai isliye ab bhool gaye hai sab khwab,
Koi shayar tha, koi tha kadrdaan, aur koi tha mehmaan, ab sab hai pashan.

Ab Chandni nahi dikhti hai raat main, dikhta hai toh sirf chaiwala aur uske haath main humari brand ki cigarette,
Dhooe ke zindagi, dhooe main hi ek din gum ho jayegi, benami main paida hoke gumnaami main mil jaegi.



35 36 37 38